2010년 1월 29일 금요일

For You...

fir ek baar shard hawaon ne rukh moda
fir ek baar in ghataon ne vadiyon ko apne rang me ooda
fir ek baar suraj ki kirno ne munder par apni chamak bikheri
fir ek baar baagon me wo kaliya muskurayi
fir ek baar koyal ke kookne se dil me daudi armaano ki ashayein
fir ek baar ons ki bundon ne dharti ke daman ko ghera
fir ek baar ye poorwayi ne apni mahak bikheri
fir ek baar sarso khet me lahlahayi
fir ek baar jharne ki kalkal ne jindgi ki jhalak dikhayi
fir ek baar nadiyo ka lahrana man me halchal paida kar gaya
fir ek baar wo aamrayi ki khusboo ki yaad ayi
fir ek baar wo galyiyan wo chaurahon ne pookara
fir ek baar dil ke kisi kone me stabdh bhavanaon ne li angadayi
fir ek baar sinduri suraj ne apni lalima bikheri
fir bhi na jane ye dil kyon bechain hai


na jane kyon najuk honto ne muskurana bhula diya hai..
na jane kyon dil ki dhadkane maddham hai
na jane kyon ye palke nam hai
na jane kyon kise ke hone ka ehsas hai
na jane kyon koi door hai par door sa nahi
na jane kyon ye dil un anjaani rahon ko dekhta hai
na jane kyon is dil ko kisi ke aane ka intzaar hai
na jane kyon ye asq sahaj hi ache lagne lage
na jane apna hi saye se hum kyon hum darne lage
na jane kisi ki jhukti huyi nigahein fir yaad aayi
na jane kisi ki wo komal muskaan fir khusiya bikher gayi

Vaise to kahne ko duniya me mahfilon ki koi kami nahi
fir bhi is dil ke kisi kone me tanhayi basti hai
Vaise to aas-paas rangeen nazare hain
fir bhi dil me kisi ki yaadon ki suli gad jati hai

Vaise to is dil me hazaron armano ke mele hai
fir bhi ek choti si kasak kyon chubhti hai

Vaise to na to ye galyian or na hi ye manzar andekhe hai
fir bhi na jane ye kyon apne se lagte hai

Kyon is dil me kisi ki dundhli si tasveer hai
Jo paas hokar bhi paas naho aur door hoker bhi door nahi

Vaise to dil ki dhadkane chalti hai
par na jane kyon ye sasein madhaam hai.

Kyon ab doston ke tanein bhi nahi chubhte

Kyon ye gulshan ke fool bhi raas nahi ate

Sayad ye tum hi ho....
Jo har pal apne hone ka ehsaas dilati ho
Har ek gulshan har ek kali me tum hi nazar aati ho.

Apni muskaan ko apne hoto se juda na hone dena
Apne chehre par khushi ki lali hamesha barqarar rakhna
Har pal ko aise jina ki hum sath hai......